Friday, March 20, 2009

Aisi Sazaa..

Aisi Sazaa Deti Hawaa
Tanhaai Bhi Tanha Nahi
Neendein Bhi Ab Sone Gayeen
Raaton Ko Bhi Parwaah Nahi

Aise Mein Baarish Ki Boondon Se 
Apni Saanson Ko Sehla Bhi Do
Badhti Hawaaon Ke Jhonko Se 
Dil Ko Naghma Koi La Bhi Do

Palkon Ki Koro Pe Baithi Nami Ko
Dheeme Se Pighla Bhi Do

Ye Zindagi Aisi Hi Thi
Tumne Kabhi Jaana Nahi

Jeevan Ki Raahon Mein Aana Ya Jaana
Bataake Nahi Hota Hai
Jaate Kahin Hain Magar Jaante Nahi
Ki Aana Wahin Hota Hai

Khone Ki Zid Mein Ye Kyun Bhoolte Ho
Ki Paana Bhi Hota Hai

Wo Pal Abhi
Waisa Hi Hai
Chhoda Tha Jo
Jaisa Wahin

Aisi Sazaa Deti Hawaa
Tanhaai Bhi Tanha Nahi
Neendein Bhi Ab Sone Gayeen
Raaton Ko Bhi Parwaah Nahi..

No comments: